ptcl Complaints - about billing
ptcl
View All ptcl Complaints 13 May, 2011 By asfand gulzarabout billing
Aslam-U-Alaikum
main ek photographer hun aur main ne 1.5 saal pehle ptcl ka DSL net connection lagwaya tha.main kissi bhi tareeqe se 1450 rupay manage ker k 1 month ka bill jama karwa detta tha.lekin ptcl walon ne mujhe 2 month nka bill aktha bhej diya jo 3000.rupay tha.aur main ne unhi dinon connection ko utrwana bhi tha.main ne modem ptcl k office ja ker jama karwa diya.lekin woh kehte the jab tak aap bill jama nahein karwain gay aap ka connection band nahein ho ga.main ne bill ki 2 kistein karwa li aur ek jama karwa di lekin mere paas itne paisay nahein the k main 2 ya 3 din k ander doosri kist jama karwa dun.itne main hi mujhe phir 3 month ka bill bhej diya gaya.aur main woh bhi jama na karwa saka.aur aaj woh bill 8155 rupay ho chuka hai,aur notes bhi aa gaya hai k main woh bill 16.05.2011 tak jama karwa dun aur main ne jama na karwaya to mere khilaaf qanooni karwai ki jaye gi.mere paas itne pasisay bhi nahein hein k main itna bill jama karwa sakoon.aur waisay bhi mujh per sirf 1500 rupay wajib hein jo mujhe ada karne chahiye.lekin woh meri baat sunte hi nahein meherbani ker k mujhe is ka manasab hal bataein?
